Saturday, June 2, 2007

कुछ और उर्दू Shares


#
Tumhare yahan ka mausam bada suhaana lage
ek shaam chura loon agar bura na लगे
#
zindagi ne zindagi bhar gum diye.
Jitne bhi mausam diye sab num diye.
Itne pe bhi nahi choda usne
Hum ne bhi ro ro kar DRUM bhar Diyeeeeeeee

Zindagi ne zindagi bhar........

#
rahe daur ishq se rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
kafile me subaah ke ek shor hai
yaani gafil ham chale, abb sona hai क्या
#
tumhein ishq ho ye khuda kare...
koi tum ko us se juda kare...

tere hont pe na hansi rahe...
teri aankh mein bhi nami rahe...

tujhey hijr ki wo jharii lage...
tu milan ki har pal dua kare...

tere khawaab bikhren gali gali...
tu bi kirchi kirchi chuna kare...

tujhey ishq per phir yaqeen ho...
isay tasbiyon mein parha kare...

mein kahon ke ishq to dhong hei...
aur tu ishq ishq kaha kare...

#
Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,
Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai,

Uss paar utarne ki ummeed bahot kam hai,
Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai,

Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai,

Bholi si adaa, koi phir ishq ki zidd par hai,
Fir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai।

#
Tadapte the jo humse milne ko kabhi,
Jaane kyu wo aaj hamare naam se bhi katraate hai!

Hum bhi wahi hai, dil bhi wahi hai,
Phir kyu jaane log badal jaate hai!

#
andaaz apne dekhte hain aaine mein woh...
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho....

#
Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai...
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai...
Teri Chaahaton ki Kasam, Ey Dost...
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai...

#
Jab mein subah ghar se nikla,
dil mein 1 armaan tha,
ek taraf Jungle,
aur ek taraf shamshaan tha,
Paav se (Feets) ek Haddi takrai,
Ueh uska Farmaan Tha,
Ae Raahi Zara Sambhalkar Chal,
Mein bhi kabhi insaan था

#
Firag Gorakhpori's............
Yaron Shab-e-Firag main roya main is Kadr....
Tha choudhe asman pe paani kamar kamar.........

And A original one.......... ;)

Zindagi ka har lutf hamne liya hai,
Jo bhi dil ne kha kiya hai,
ek khalash si dil main magar hai hamesha,
Kya sachmoch Jeene ka haq ada kiya hai?

#
Koi mere dil se pooche , tere teere - neem - e - kash ko

ye khalish kahan se hoti, jo jigar ke paar hota

-----

This means, ask my heart, after it has been hit by the arrow of yours... which did not get completely inside the heart

I wouldn't have got this pain if it went through it...

Sunday, May 27, 2007

Urdu Sher-O-Shayari

The reason behind creating this blog is to list Urdu Sher-O-Shayari as and when came in my mind. This Urdu sher sometimes can be mixed with some hindi words as well, but this is what advanced urdu sher is all about. Here sometimes you can see some Urdu shers from famous Urdu shayers as well. Please comment on the sher or correct it whenever you feel the wazan of sher is imbalanced. This all is original shers from myself .Please chorane se pehle shayaron ki taklifat ka dil se dhayn karen. Tu arz hai mera pehla sher.............Ki

Jab bhi teri yad ati hai mujhko,
Khon ke anson rolati hai mujhko,
Tera kya hai, daga dena pesha hai,
Aurat "bewafai" yad delati hai mujhko.

Lekin......

Aurat se hi duniya main kushnomayi hai,
Aurat hi tu teri meri mai hai,
Aurat se hi hai tasweer-e-Kaynat main rang,
Aurat ke Bina zindagi harjai hai.

Tu...

Sab ko mile wafa ye hi hamari arzo hai.
Sacha pyar dondna ek jostajo hai,
Jis ko mil gaya uska naseeb,
Nahi mila tu hamari tarah uski guftago hai.

Tu Janab ye app ki kismat par munhasir karta hai, ki app ko sacha pyar mila ya nahi, agar han tu app khush kismat hain, aur agar nahi tu app bhi hamari fehrist main shamil hain.