Monday, February 22, 2010

Shayari - Shayari in Urdu


Shayari - Shayari in Urdu

Mohabbaton ki ye wardaten koi sune ga to kya kahe ga

Ye bahki bahki hamari baten koi sune ga to kya kahe ga

Raqabaton ki qayamaton se khandaren tabdeel ho rahi hain

Hamari chahat ki kaynaten koi sune ga to kya kahe ga

Tumhare Khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne

Ye ankahi si tumhare baten koi sune ga to kya kahe ga

Hami hain mazloom hum hi hian zalim hami hain maqtool hami hain qatil

hami hain mohre hami hain baesaten koi sune ga to kya kahe ga

tere tasawur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon me

Beghair dhole ki ye baraten koi sune ga to kya kahe ga