Monday, October 10, 2011

Urdu Shayari, Urdu Nazm - NAWA E INSAANIYAT


Janab Abdullateef Qadri Sahab shahar aur zilaa Chiniot se Hain. App sabhi ke liye nazr hain inki ye Nazm.


Unwaan: NAWA E INSAANIYAT


Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi!

Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon!

Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul!

Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon!

Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani!

Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon!

Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki!

Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!"

--

Abdullateef Chinioti

4 comments:

Mehreen Tariq said...

Main aik poetry lover hoon, aur poetry sunna aur kehna meri hobby hai.
App apne blog per bohat acha kaam kar rahe ho, Mujhe yahan se bohat achi poetry collection mili, jo ke main ne pehle read nahi ki thi.
Meri apse request hai ke plz kuch Sagar Sadiqui ki poetry bhi share karain.
Thanks

Deep said...

I love the shayari on this site...

Two lines from my side:
Wo jo apne aapko Noor-E-Hoor samjh bethe hain…
Kon jaanta tha use meri Mohabbat se pehle………♥♥♥
♥])€€P♥

Anonymous said...

achchi poetry hai.

Rahul said...

Very nice poetry

Mujhe apke blog se bohat achi poetry mili hai. Please romantic poetry ki aur collection share karo. Kyon ke mujhe love poetry se love hai.